Barish ka wah mausam aur uspar dabe hue kadmo ki wah aahat- wah sama hi kuch yesa tha ki kisi ka bhi dil dahal jay. Achanak mere saamne ek vichitr aakruti pratak hui aur mano mere poore sharrer me 1 bijli si lehar daud gayi aur fir achanak wah cheekh....... mein abhi kuch aur der neend ki aaghosh me rahti yadi wah karkash dwani mere kaan ke pardon par itni tivrata se hamla na karti. Jee han, me baath kar rahi hon hamare priy prof. roopi yantr ki jo prati ghanta 5000 se adhik shabdon ki bochar karne ki kshmata rakhte hain. Badi magnata se padate huye wah mano vidhyartiyon ki sahan shakti ko pal pal lalkar rahe the. Samay ko badalte adhik deer nahi lagti. wahan kal raat mein hollywood ki rongte khade kar dene wali film ka aanand le rahi thi aur yahan me ardh nidra ki avasta me kaksha me upasthit thi[ 85% attendence ke liye sala kuch bhi karega!] ....
Mein apne hosh sambhalte, aas paas nigah daudani shuru ki, bharthiya vividta ka prateek hamari kaksha harsh ullas se paripoorn thi. Sabhi chaatr apas me mast aur prof. apne me vyast the. yadi poori kaksha ka avalokhan kiya jaye to hum kaksha me chal rahe gatividiyon aur unse sambandhit mahapurushon ko paanch shreniyon mein baant sakte hain.
pratham shreni me ve chatur chaatr aate hain jinke sar to adhyapak ki dhun ke saath milte rahte hain parantu unke haath, badi dakshta se apne mobile phone par lage hote hain. In chaatron ke haath aue aankhon ke beech mein taal -mail dekhte hi banta hain.In chaatron ka mann kabhi 1 kaksha ki chaar deewaron ke beeck seemit nahi rehta balki SMS ke jariye 1 kaksha se doosre kaksha tak vicharan karta rehta hain. Ye chaatr kisiko pareshan nahi karte aur sabhi prakar ki suchnao ke adaan pradaan me lage rehte hain.Parantu agar yeh apna mobile 'silent mode' mein rakhna bhool jaye to sampoorn vatavaran 'vande mataram' se lekar 'crazy kiya re' tak ki dhono se goonjit ho jata hai aur,kathin paristithiyon ko nimantran deta hai...
Swatantramolik abhivyakti me vishwas rakhne wale chaatr 2nd shreeni me aate hain. Samaanyatah ye kaksha ki aakhri panktiyon me paye jaate hain. Samajik samasyaon se lekar cricket ki duniya ki haal-chalon se sambandhit sab vishayon par ye apne vichaar bindas roop se prakat karte hain. Na toh ye swayam padhne se itchuk hote hain aur na hi kisi dusre ko padhte hue dekh sakte hain.
3rd shreni me ve chaatr aate hain jo badi tatparta aur lagan ke saath apne assignment likne me lage hote hain.yeh warg bhi kaksha ke aakhri panktiyon par paya jata hain. samohik kaarya pranali ka prathik yeh warg badi kushalta se apne sahyogiyon ke saath taal se taal milakar 1 mastar pratikruti se ghanto bhar ke bhitar hi aneek pratikrutiyan bana lene ki kshmata rakte hain. parantu kabhi kabhi doosre shreeni ke chaatron ke karan yeh prof. ki nazron me aajate hain aur saari mehnat par paani phir jata hai.
4th shreene me wah aate hain jo hamesha swapna lok me vicharan karte hain. wah vidhyarti jo inme se kisi shreeni me nahi aate ve ya toh meri taran koi naye sharathon me gagn honge ya parakram aur samoh ke saath adhyapak ko samajne ki vyarth prayaas karte hain..
Achanak vidhyartiyon ki prasanta ke prateek siron-'bell' ki dhwani padi. Hamne adhyapakk se attendence lene ka aaghaz kiya toh unhone muskurate hue kaha FREE ATTENDANCE.. Mere toh mano pairon tale zameen khisak gayi. Aneek prakar ke kathinaiyon ko paar kar kisi tarah se mein is kaksha ke liye samay par aayi thi. Meine apne dil ko yah soochkar behlaya ki shayad mere kismat me yahi tha.
Apne mayoos chehre ko lekar mein kisi tarah juice center(JC) pahunchi. JC hamare dinacharya ka 1 mahatvapoorn hissa tha. Yahan par ekhatrit chaatr prathah 2 prakar ke hote hain. 1 to nain sukh prapti ke laksh se aate hain aur doosri shreni unn vyaktiyon ki hai jo DVG ki garmi ka mukabla karne ke liye yahan aate hain. Hala ke in dono shreniyon ke logon ka faida ve mauka prapt log uthate hain , jo bheed ka sahara lekar muft me juice uthakar champak ho jate hain.
1 baar fir waqt badla aur me bojhal kadmo se kaksha vapas pahonchi. Phir vahi dhrushya, vahi chahal pahal, mujhe bechain karne lagi.
Yeh hai vishva ki laghbhag saare UG kaksha ka varnan. Isliye saare BIETians jaago math soye raho apne aap ko math badlo. Humjo kar rahe hain wah kisi prakaar ka jurm ya paap nahi hai. Apne vidhyarti hone ka luft uthao. Khud jio aur doosron ko jeene do.
` yaar kuch bhi kaho "HUM THE KAMAM KE" arey the kahan "HUM HAIN KAMAAL KE"
"MISS U ALL.. 8TH SEM. A SEC. 2007 BATCH"
WELL WAT EVER I'VE WRITTEN IS THE HARD TRUTH.. IF U ASK ME WHICH SHREENI I BELONG? I BELONG TO ALL GROUPS.. HE HE HE..
I WAS THE COW BOY KINDA GIRL IN THE CLASS. GUYS NEVER DARED TO MESS WID ME..
I WISH I GET THOSE MOMENTS BACK..