Bahut ajeeb hai yeh zindagi
Kab kis mod pe akar ruk jati hai
bagair koi rukawat ki agah kiye
ladkhadate…sambhalte
apne aap ko samjhate
ki yeh anubhav bhi hume
kuch na kuch to nischit rup se
sikhlayega hi
hriday ko nichodti hai kuch pal
jab khalipan dat kar baith jati hai
Shunya ko Kendra banaye
Maan hatash …kaun samjhaye!
Ghadi ke katon ko jaise kisi balwan ne
Daboch liya hai apne puri shakti se
Na chhat rahe hain udaseenta ke badal
Na thandak mil rahi hai hriday ko
subah ki aos ki tazgi se
Na umeed jhank rahi hai
khilte pankhudiyon ki tarah
na basant aas paas phatak rahi hai
jaise ki koi shikwa ho
Bas yahi aasrah hai ki
Aise dino ki bhi anth hoti hai
Samay marham lagati hai
Aur ek din geheri ghav bhi
Ek daag ban kar reh jati hai.